DhunDte DhunDte KHud ko main kahan ja nikla

dhundte dhundte khud ko main kahan ja nikla
ek parda jo utha dusra parda nikla

manzar-e-zist sarasar tah-o-baala nikla
ghaur se dekha to har shakhs tamasha nikla

ek hi rang ka gham-khana-e-duniya nikla
gham-e-jaanan bhi gham-e-zist ka saya nikla

is rah-e-zist ko hum ajnabi samjhe the magar
jo bhi patthar mila barson ka shanasa nikla

aarzu hasrat aur ummid shikayat aansu
ek tera zikr tha aur bich mein kya kya nikla

ghar se nikle the ki aaina dikhaen sab ko
lekin har aks mein apna hi sarapa nikla

kyun na hum bhi karen us naqsh-e-kaf-e-pa ki talash
shoala-e-tur bhi to ek bahana nikla

ji mein tha baith ke kuchh apni kahenge 'sarwar'
tu bhi kam-bakht zamane ka sataya nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close