dhup jab dhal gai to saya nahin ye talluq to koi rishta nahin log kis kis tarah se zinda hain hamein marne ka bhi saliqa nahin sochiye to hazar pahlu hain dekhiye baat itni sada nahin khwab bhi is taraf nahin aate is makan mein koi daricha nahin chalo mar kar kahin thikane lagen hum ki jin ka koi thikana nahin manzilen bhi nahin muqaddar mein aur palatna hamein gawara nahin dusron se bhi rabt-zabt rakhen zindagi hai koi jazira nahin kab bhatak jae 'aftab' husain aadmi ka koi bharosa nahin