dhyan mein aa kar baiTh gae ho tum bhi nan

dhyan mein aa kar baith gae ho tum bhi nan
mujhe musalsal dekh rahe ho tum bhi nan

de jate ho mujh ko kitne rang nae
jaise pahli bar mile ho tum bhi nan

har manzar mein ab hum donon hote hain
mujh mein aise aan base ho tum bhi nan

ishq ne yun donon ko aamez kiya
ab to tum bhi kah dete ho tum bhi nan

khud hi kaho ab kaise sanwar sakti hun main
aaine mein tum hote ho tum bhi nan

ban ke hansi honton par bhi rahte ho
ashkon mein bhi tum bahte ho tum bhi nan

meri band aankhen tum padh lete ho
mujh ko itna jaan chuke ho tum bhi nan

mang rahe ho rukhsat aur khud hi
hath mein hath liye baithe ho tum bhi nan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close