dhyan mein kaun darinda hai jo bedar hua

dhyan mein kaun darinda hai jo bedar hua
main kisi bu ki jalan pa ke khabar-dar hua

bagh ki samt se aati hai hawa sahmi hui
kaun is habs ke mausam mein sadakar hua

us jazire ki taraf soch-samajh kar jaana
jo tere mauj mein aane se numudar hua

tum ko lagta hai ki aasan hai duniya-dari
kar-e-duniya mein pata hun to wafadar hua

is badan par bhi mera kaam dikhai dega
aur wo kaam ki jaise koi shahkar hua

us ne har soch ki zambil ulat kar rakh di
aur main khwab dikhane ka saza-war hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close