didar mein ek turfa didar nazar aaya har bar chhupa koi har bar nazar aaya chhaalon ko bayaban bhi gulzar nazar aaya jab chhed par aamada har khar nazar aaya subh-e-shab-e-hijran ki wo chaak-garebani ek aalam-e-nairangi har tar nazar aaya ho sabr ki betabi ummid ki mayusi nairang-e-mohabbat bhi be-kar nazar aaya jab chashm-e-siyah teri thi chhai hui dil par is mulk ka har khitta tatar nazar aaya tu ne bhi to dekhi thi wo jati hui duniya kya aakhri lamhon mein bimar nazar aaya ghash kha ke gire musa allah-ri mayusi halka sa wo parda bhi diwar nazar aaya zarra ho ki qatra ho khum-khana-e-hasti mein makhmur nazar aaya sarshaar nazar aaya kya kuchh na hua gham se kya kuchh na kiya gham ne aur yun to hua jo kuchh be-kar nazar aaya ai ishq qasam tujh ko mamura-e-alam ki koi gham-e-furqat mein gham-khwar nazar aaya shab kat gai furqat ki dekha na 'firaq' aakhir tul-e-gham-e-hijran bhi be-kar nazar aaya