dikhai denge jo gul mez par qarine se

dikhai denge jo gul mez par qarine se
hawaen chhedengi aa kar khule dariche se

khala mein aaj sakun apna dhundhta hai wahi
bahal gaya tha jo bachcha kabhi khilaune se

tumhaare dil mein hai ek karb sa kisi ke liye
ye baat hum ne padhi hai tumhaare chehre se

jale dil to yaqinan labon pe hogi karah
dhuan to phailega jangal mein aag lagne se

faza mein surat-e-shahin buland ho kar dekh
dikhai denge ye unche darakht chhote se

sunai di hai kahin kya khizan ke panon ki chap
ki phul aaj hain gulshan mein sahme sahme se

chalo ki puchhen kisi sokhta-jigar se ye baat
gurez hota hai kab aadmi ko jine se

wafa na tutne wali hai ek shai 'shaariq'
karo wafa ko na tabir kachche dhage se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close