dikhla do naqsh pa-e-rasul-e-amin ko

dikhla do naqsh pa-e-rasul-e-amin ko
ta-mashq sajda ho mere lauh-e-jabin ko

ai aah-e-dil jo jawe to arsh-e-barin ko
kahiyo salam isa gardun-nashin ko

balbe sharar-e-ashk ki garmi ki ab talak
ek aag lag rahi hai meri aastin ko

tha main kamin-e-bosa main bole isi liye
ashraf munh lagate nahin hain kamin ko

jab main hansunga aap se ro dijiyega na
phir tum bahut ho chhedte is kam-tarin ko

kahti ho kya raqib ko bhejun bata salah
lanat hi bhejiyega yazid-e-lain ko

dekhun hun gar alif ko to ai dil hazar bar
karta hun yaad tere qad-e-dil-nashin ko

aawe nazar jo lam to aawe khayal-e-zulf
jab scene padh ke dekhun hun dandan masin ko

karta hun teri ulfat-e-dandan mein sin sin
yan tak ki pahuncha hun main dam-e-wapsin ko

tabdil-e-bahr se wo ghazal padh ba-ab-o-tab
'ehsan' khushi ho jis se dil-e-samain ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close