dil bache kyunkar buton ki chashm-e-shoKH-o-shang se

dil bache kyunkar buton ki chashm-e-shokh-o-shang se
apna ghar to sujhta hai saikdon farsang se

ek bhi nikle na meri si fughan-e-dil-kharash
garche khun tapke gulu-e-murgh-e-khush-ahang se

chhup ke baithega kahan tu hum se ai rangin-nawa
hoga tu jis rang mein mil jaenge us rang se

bal be-bariki ki goya har tera tar-e-sukhan
jantari mein khinch ke nikla hai dahan-e-tang se

ai taghaful-kesh jaldi aa ki tu waqif nahin
is dil-e-betab o jaan-e-muztarib ke dhang se

josh-e-girya se rahi barsat barson par kabhi
us ki tegh-e-tez aaluda na dekhi zang se

mere girye ke asar se ho gae patthar bhi aab
jhadte hain ja-e-sharar pani ke qatre sang se

pahle ye niyat wazu ki hai namaz-e-ishq mein
dil se kah dije ki dhowe hath nam o nang se

'zauq' zeba hai jo ho rish-e-safed-e-shaikh par
wasma aab-e-bang se mehndi mai-e-gul-rang se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close