dil chhoD ke har rahguzar DhunDh raha hun

dil chhod ke har rahguzar dhundh raha hun
baithe hain kahan wo main kidhar dhundh raha hun

wo pesh-e-nazar hain to nazar kyun nahin aate
kya mera qusur is mein agar dhundh raha hun

barik-nigari ki tamanna to hai lekin
milta nahin mazmun-e-kamar dhundh raha hun

phukunga nasheman ki tarah apne use bhi
is waste sayyaad ka ghar dhundh raha hun

kahte hain jise urf mein sab subh-e-bahaaran
us sham-e-judai ki sahar dhundh raha hun

jamta hi nahin nok-e-mizha par koi aansu
kante pe tule jo wo guhar dhundh raha hun

ye jaan ke us but ka hai patthar ka kaleja
ai 'barq' main lohe ka jigar dhundh raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close