dil dil hi rahega gul-e-tar ho nahin sakta khun ho ke bhi manzur-e-nazar ho nahin sakta jo zulm kiya tu ne kiya be-jigri se aisa to kisi ka bhi jigar ho nahin sakta thak thak ke teri rah mein yun baith gaya hun goya ki bas ab mujh se safar ho nahin sakta izhaar-e-mohabbat mere aansu hi karenge izhaar ba-andaz-e-digar ho nahin sakta har bund lahu ki kabhi banti nahin aansu jaise ki har ek qatra guhar ho nahin sakta ye ahd-e-jawani bhi hai kuchh aisa zamana be-baada-e-sarjosh basar ho nahin sakta le jaega ye dil mujhe us bazm mein aakhir jis mein ki saba ka bhi guzar ho nahin sakta jab tak teri rahmat ka hai 'kashfi' ko sahaara sach ye hai gunahon se hazar ho nahin sakta