dil-e-dard-ashna ka muddaa kya kisi bedad ki kije dawa kya hua insan hi jab insan ka dushman shikayat phir kisi ki kya gila kya bahaar-e-taza aai gulsitan mein khilae jaane gul baad-e-saba kya wo kahte hain nasheman tark kije chali gulshan mein ye taza hawa kya uthi insaniyat yaksar yahan se yakayak khu-e-insan ko hua kya nahin malum mustaqbil kisi ko marahil pesh aaen jaane kya kya ujad kar rah gaya do din mein he he mere 'gulzar'-e-hindi ko hua kya