dil-e-hazin ko tamanna hai muskurane ki

dil-e-hazin ko tamanna hai muskurane ki
ye rut khushi ki hai ya rit hai zamane ki

bana gain use pechida nit-nai sharhen
khuli hui thi haqiqat mere fasane ki

haram ke pas pahunchte hi thak ke baith gae
wagarna rah to li thi sharab-khane ki

kisi ke saya-e-gesu ki baat chhidti hai
mere qarib rahen gardishen zamane ki

main tere gham ka bhi thoda sa jaeza le lun
kabhi mile mujhe fursat jo muskurane ki

samet len mah o khurshid raushni apni
salahiyat hai zamin mein bhi jagmagane ki

bhala 'imam' tahajjud guzar kya jaanen
ki raat kitni hasin hai sharab-khane ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close