dil-e-muztar se nalan hain udhar wo bhi idhar hum bhi mohabbat mein pareshan hain udhar wo bhi idhar hum bhi kise fursat hai mazi ki purani dastan chhede gham-e-hazir mein ghaltan hain udhar wo bhi idhar hum bhi ba-zahir koi hairani nahin tark-e-mohabbat par magar dil mein pasheman hain udhar wo bhi idhar hum bhi khizan ke jaur-e-paiham ki shikayat hai to donon ko talabgar-e-bahaaran hain udhar wo bhi idhar hum bhi unhen jaane ki jaldi hai hamein zid hai ki ruk jaen gharaz donon pareshan hain udhar wo bhi idhar hum bhi