dil hai to muqamat-e-fughan aur bhi honge

dil hai to muqamat-e-fughan aur bhi honge
sar hai to abhi sang-e-giran aur bhi honge

hum se ki hai saman-e-faraghat bhi junun bhi
taswir ke parde mein nihan aur bhi honge

wan silsila-e-zulf mein kham badhte rahenge
yan mashghla-e-gham mein ziyan aur bhi honge

wan bu-e-wafa wahm ko sah chand karegi
yan rang-e-taghaful pe guman aur bhi honge

han rasm-e-mudaraat-e-junun aur badhegi
han dushman-e-dil aafat-e-jaan aur bhi honge

han wajh-e-giraftari-e-dil sab kise malum
han tarz-e-sitam-ha-e-nihan aur bhi honge

han aur badhegi qad-o-gesu ki hikayat
han qissa-e-kotahi-e-jaan aur bhi honge

bhadkegi abhi aatish-e-shauq aur sar-e-dar
han shoala-laban sarw-qadan aur bhi honge

han marhala-e-shauq ke unwan hain abhi aur
'baqar' se kuchh aashufta-bayan aur bhi honge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close