dil ho kharab din pe jo kuchh asar pade ab kar-e-ashiqi to bahar-kaif kar pade ishq-e-butan ka din pe jo kuchh asar pade ab to nibahna hai jab ek kaam kar pade mazhab chhudaya ishwa-e-duniya ne shaikh se dekhi jo rail unt se aakhir utar pade betabiyan nasib na thin warna ham-nashin ye kya zarur tha ki unhin par nazar pade behtar yahi hai qasd udhar ka karen na wo aisa na ho ki rah mein dushman ka ghar pade hum chahte hain mel wajud-o-adam mein ho mumkin to hai jo beach mein un ki kamar pade dana wahi hai dil jo kare aap ka khayal bina wahi nazar hai ki jo aap par pade honi na chahiye thi mohabbat magar hui padna na chahiye tha ghazab mein magar pade shaitan ki na man jo rahat-nasib ho allah ko pukar musibat agar pade ai shaikh un buton ki ye chaalakiyan to dekh nikle agar haram se to 'akbar' ke ghar pade