dil ke kaghaz par likha hai tera nam chain milta hai padhun jab subh-o-sham kya khabar thi ishq bhi ek rog hai warna kafir dil ko de deti lagam zindagi bhar zindagi kab kar saki zindagi mere liye thi jaise lam sar pe sauda-e-junun jab ho sawar sujhta aise mein phir kya koi kaam honi anhoni nahin hoti kabhi honi hoti hai bahut hi be-lagam barkaten harakat mein muzmar hain bahut karte rahna chahiye insan ko kaam ai 'munawar' dil ko qabu mein rakho rah na paogi wagarna nek nam