dil ke rahne ke liye shahr-e-KHayalat nahin

dil ke rahne ke liye shahr-e-khayalat nahin
sar-ba-sar hai nafi is mein kahin isbaat nahin

ranj gar wan se to rahat bhi wahin se aawe
kaun kahta hai yahan wahdat-e-ayat nahin

mujh se kahte hain hawaej se sarokar na rakh
meri tarif ba-juz qissa-e-hajat nahin

koi batlao shab-o-roz pe kya guzri hai
raat khamosh nahin din mein koi baat nahin

thi falatun ki jo jamhur se ru-gardani
hum samajhte the khurafat khurafat nahin

dil se guzre kabhi dushman ke liye fikr-e-zarar
wo watira nahin mera mere jazbaat nahin

ahd-e-be-mehr mein ek chaal mohabbat bhi chale
shah mein bazi hai meri garche abhi mat nahin

sahiba dekhna had se na badhe yurish-e-gham
na-tawan dil hai mera khema-e-sadat nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close