dil ke shajar ko KHun se gulnar dekh kar

dil ke shajar ko khun se gulnar dekh kar
khush hun nai bahaar ke aasar dekh kar

sahra bhale ki zehan ko kuchh to sukun mile
ghabra gaya hun shahar ke bazar dekh kar

aage badhe to tirgi-e-shab ne aa liya
nikle the ghar se subh ke aasar dekh kar

aansu gire to dil ki zamin aur jal uthi
barsa hai abr khak ka mear dekh kar

sare jahan ko halqa-e-matam samajh liya
apna wajud nuqta-e-pur-kar dekh kar

auron ko tu ne daulat-e-kaunain bant di
gham mujh ko de diya hai saza-war dekh kar

baithe to aanch dene lagi pipalon ki chhanw
aae the log saya-e-ashjar dekh kar

jis tarah koi bachhda hua dost mil gaya
hum muskura diye rasan-o-dar dekh kar

baitha hun apne fikr ke sae mein der se
har aashna ko un ka taraf-dar dekh kar

'zulfi' dukhon ki dhup mein jalte hue badan
baadal guzar gaya hai kai bar dekh kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close