dil ki kahun ya kahun jigar ki kuchh baat karun idhar-udhar ki lau dil ki bujhaen ya jigar ki len ashk khabar kidhar kidhar ki uthne na diya hamein mare par li zoaf ne aaqibat pisar ki ghadiyal nasib hun shab-e-wasl sar chot hai har ghadi gajar ki dhalne ko hai mehr-e-naujawani chhutne pe hai top dopahar ki kya kam-sukhanon ko shama kahiye shamon ki zaban hai hath bhar ki marqad mein chale rah-e-adam li sujhi jo musafirat mein ghar ki kakul hui tar araq se rukh ke pi sanp ne us phul par ki ji qabr mein khak bhale ai 'shad' basti hai ujad is nagar ki