dil ko afsos-e-jawani hai jawani ab kahan

dil ko afsos-e-jawani hai jawani ab kahan
koi dam mein chal basenge zindagani ab kahan

aap ulatre hain wo parda wo kahani ab kahan
aashiqon se guftugu hai lan-tarani ab kahan

jab hamare pas the un ko hamara pas tha
thi hamari qadr jab thi qadr-dani ab kahan

ai pari-paikar tera mere hi dam tak tha banaw
surkh mubaf o libas-e-zafrani ab kahan

bad-mizaji naujawani ne sikhai hai unhen
dushman-e-jaan ho gae hain mehrbani ab kahan

yar aa nikla tha ai dil phir wo kyun aane laga
ho gaya ek ye bhi amr-e-na-gahani ab kahan

baad mere phir kisi ne bhi suni aawaz-e-yar
thi mujhi tak lan-tarani lan-tarani ab kahan

bagh mein nahren bhari hain phul phal ka tha maza
band hain kunj-e-qafas mein dana-pani ab kahan

teri aur apni haqiqat ja ke isa se kahun
is qadar taqat bhala ai na-tawani ab kahan

shefta jab tak na the shohrat thi zabt-o-sabr ki
dard-e-tanhai ki tab ai yar-e-jaani ab kahan

dil mein taqat thi tadap lete the bismil ki tarah
jaan mein haalat nahin wo jaan-fishani ab kahan

ghur lete the jafa-karon ko jab maftun na the
ho gae chaurang khud changez-khani ab kahan

apni qudrat us ne dikhla di shab-e-mearaj mein
ho chuki bas mehmani mehmani ab kahan

lahlahate the chaman maftun gulon par the bahaar
lut gai bu-bas ai barg-e-khizani ab kahan

haal-e-dil kahwate the jab qasid aate jate the
nama-e-shauq aur paigham-e-zabani ab kahan

dagh-e-dil us ne diya tha dil ko hum ne kho diya
ai 'sharaf' us be-murawwat ki nishani ab kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close