dil mein hai ittifaq se dasht bhi ghar ke sath sath

dil mein hai ittifaq se dasht bhi ghar ke sath sath
is mein qayam bhi karen aap safar ke sath sath

dard ka dil ka sham ka bazm ka mai ka jam ka
rang badal badal gaya ek nazar ke sath sath

khwab uda diye gae ped gira diye gae
donon bhula diye gae ek khabar ke sath sath

shakh se is kitab tak khak se le ke khwab tak
jaega dil kahan talak us gul-e-tar ke sath sath

is ko ghazal samajh ke hi sarsari dekhiye sahi
ye mera haal-e-dil bhi hai arz-e-hunar ke sath sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close