dil mein KHun aur aankh mein pani bahut

dil mein khun aur aankh mein pani bahut
ek thodi si pareshani bahut

chup rahen to dil sarapa iztirab
baat karne mein pashemani bahut

dekhe-bhaale raste gham ke tamam
dil ki galiyan jaani-pahchani bahut

us ke jaise honge lekin wo kahan
naqsh-e-awwal ek aur sani bahut

hum kahan hote the khud ko dastiyab
khal rahi hai ab ye arzani bahut

kis tarah rakhte hum aakhir jaan aziz
dil kiya karta tha man-mani bahut

us se kya be-qadr-dani ka gila
hum ne qadr apni kahan jaani bahut

khud use 'shabnam' banate hain muhaal
dekhte hain jis mein aasani bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close