dil mein tufan uThate hue jazbaat bhi hain

dil mein tufan uthate hue jazbaat bhi hain
hum hain khamosh ki kuchh apni riwayat bhi hain

mohtasib hi se nahin nala-ba-lab jam-o-subu
sang uthae hue khud ahl-e-kharabaat bhi hain

mastiyon mein kabhi mil jate hain insan ab bhi
jaise sahraon mein shadab maqamat bhi hain

dekhiye mujh se wo kab aa ke gale milta hai
the jo mere wahi ab ghair ke haalat bhi hain

ashk hi ashk nahin ghaur se dekhoge agar
in sulagti hui aankhon mein hikayat bhi hain

un ke daman pe lahu kis ko yaqin aaega
jin ke chehron pe taqaddus ki alamat bhi hain

kya kahin kaun si rahon mein hain pamal 'karam'
hum ki zinda hain magar kushta-haalat bhi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close