dil mite pyar ki apealon par tohmaten lag gain qabilon par qafilon ki katha kitabon mein faslon ki sada fasilon par bhej sakhiyon ke hath mat sandes yun bharosa na kar wakilon par seb chahkar jangali chidiyan raat wadi mein chand jhilon par aur ji ko piya milan ke jatan aur piritam ka ganw milon par khelna chun ke sipiyan sikke bhigna barishon mein tilon par man ki ruswaiyan sabilon se tan ki tanhaiyan dalilon par jhulen nadiyan inhin nawahon mein phulen sadiyan inhin fasilon par dil ke sambandh dil ki girhon se un silon mein got rilon par