dil-o-nazar pe koi iKHtiyar bhi to nahin

dil-o-nazar pe koi ikhtiyar bhi to nahin
ye shutar aise magar be-mahaar bhi to nahin

mana hi lete use hum kadi riyazat se
wo zud-ranj ki parwardigar bhi to nahin

na jaane kyon hamein sharmindagi hai mazi par
agarche aisa koi daghdar bhi to nahin

ye kaifiyat ki koi sarkhushi nahin lekin
teri judai tabiat pe bar bhi to nahin

hisab-e-sud-o-ziyan kis tarah se mumkin ho
huzur ishq koi karobar bhi to nahin

talluqat mein kaise koi tanasub ho
koi halim koi burdbar bhi to nahin

kahan padaw karen kis ke aasare pe karen
ki dur tak shajar saya-dar bhi to nahin

maqam-e-faiz mila aur na hum hue mansur
hamari manzil-e-maqsud dar bhi to nahin

gunah sawab shahid-o-yazid che mani
ye qatl-gah koi kar-zar bhi to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close