dil o nigah pe tari rahe fusun us ka

dil o nigah pe tari rahe fusun us ka
tumhaara ho ke bhi mumkin hai main rahun us ka

zamin ki khak to kab ki uda chuke hain hum
hamari zad mein hai ab charkh-e-nil-gun us ka

tujhe khabar nahin is baat ki abhi shayad
ki tera ho to gaya hun magar main hun us ka

ab us se qat-e-talluq mein behtari hai meri
main apna rah nahin sakta agar rahun us ka

dil-e-tabah ki dhadkan bata rahi hai 'raza'
yahin kahin pe hai wo shahr-e-pur-e-sukun us ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close