dil par laga rahi hai wo nichi nigah choT

dil par laga rahi hai wo nichi nigah chot
phir chot bhi wo chot jo hai be-panah chot

phoda sar us ke dar se ki barse junun mein sang
mujh ko dila rahi hai ajab ishtibah chot

bijli ka nam sunte hi aankhen jhapak gain
rokegi meri aah ki kya ye nigah chot

lalach asar ka ho na kahin bais-e-zarar
takra ke sar falak se na kha jae aah chot

munh har dahan-e-zakhm ka site hain is liye
matlab hai hashr mein bhi na ho dad-khwah chot

milti hai chup ki dad ye mashhur baat hai
jal jae aasman jo kare zabt aah chot

uthte hi dil mein tis jigar mein tapak hui
karti hai dard-e-hijr se goya nibah chot

chaukhat pe teri shab ko patakta hai sar 'hafiz'
bawar na ho to dekh jabin hai gawah chot


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close