dil pyasa aur aankh sawali rah jati hai is ke baad ye basti khali rah jati hai be-khwabi kab chhup sakti hai kajal se bhi jagne wali aankh mein lali rah jati hai tir taraazu ho jata hai aa kar dil mein hathon mein zaitun ki dali rah jati hai dhup se rang aur hawa se kaghaz ud jate hain zehn mein ek taswir khayali rah jati hai kabhi kabhi to 'azhar' bilkul mar jata hun bas ek mitti odhne wali rah jati hai