dil sambhalta nahin sambhaale se yun dhadakta hai ek hawale se dudhiya ho gai faza sari chandni raat ke ujale se saqiya la mujhe surahi de pyas bujhti nahin piyale se goriyan kar rahi hain puja-pat ghantiyan baj uthin shiwale se bu hai barud ki fazaon mein khetiyan bhi jalin jwale se wo jo do waqt ka rahe bhuka mutmain kya ho do niwale se