dil se manzur teri humne qayaadat nahin ki

dil se manzur teri hum ne qayaadat nahin ki
ye alag baat abhi khul ke baghawat nahin ki

hum saza-war jo thahre to sabab hai itna
hukm-e-hakim pe kabhi hum ne itaat nahin ki

hum ne malik tujhe mana hai to sachcha mana
is liye teri kabhi jhuti ibaadat nahin ki

dosti mein bhi faqat ek chalan rakkha hai
dil ne inkar kiya hai to rifaqat nahin ki

tu ne khud chhoda mohabbat ka safar yaad to kar
main ne to tujh se alag ho ke masafat nahin ki

jhum utthega agar us ko sunaun ja kar
ye ghazal main ne abhi nazr-e-samaat nahin ki

us ko bhi apne rawayye pe koi uzr na tha
hum bhi the apni ana mein so riayat nahin ki

ye to phir tujh se mohabbat ka tha qissa meri jaan
mere kis feal pe duniya ne malamat nahin ki

tu ne charche kiye har ja meri ruswai ke
main ne khud se bhi kabhi teri shikayat nahin ki

doston ko bhi rahi waqt ki qillat 'akhtar'
haal-e-dil hum ne sunane ki bhi aadat nahin ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close