dil se na wahi aur hain 'manzar' na hamin aur ye waqt hai jo hum hain kahin aur wo kahin aur hans kar nahin ab ruth ke ek bar nahin aur ghussa karo ghussa karo ban jao hasin aur sab wahm tha duniya thi falak tha na zamin aur jab aaina dekha to nazar aae hamin aur hamin aur mera to salam us ko bahaar-e-dar-e-jaanan tujh se agar achchhi koi jannat hai kahin aur iqrar se inkar ke andaz hain dilkash tum yun hi kahe jao nahin aur nahin aur wadon mein tere ho rahi hai jitni bhi takhir hota chala jata hai mujhe utna yaqin aur malik mujhe ruswai-e-mahshar se bacha le dena hon jo de le wo sazaen bhi yahin aur tute na magar silsila-e-daur-e-mohabbat mujh ko na pilao to piye jao tumhin aur ai lucknow ke phulo na 'manzar' ko satao ghabra ke chala jae na be-chaara kahin aur