dil se shauq-e-rukh-e-niku na gaya jhankna-takna kabhu na gaya har qadam par thi us ki manzil lek sar se sauda-e-justaju na gaya sab gae hosh o sabr wa tab o tawan lekin ai dagh dil se tu na gaya dil mein kitne musawwade the wale ek pesh us ke ru-ba-ru na gaya subha-gardan hi 'mir' hum to rahe dast-e-kotah ta-subu na gaya