dil talabgar sahi hashr-ba-daman kyun hai nala-zan shoala-ba-kaf shauq-e-farawan kyun hai mahfil-e-saz-o-tarab matla-e-viran kyun hai shewa-o-sabr-o-sukun dil se gurezan kyun hai khinch laya tha jo us dil ko teri mahfil mein wahi andaz-e-nazar aaj pasheman kyun hai surangon rah mein har-gam hua jata hai muzmahil khu-e-safar dard pasheman kyun hai talkhi-e-kaam-o-dahan kashmakash-e-zehn-o-wajud ek hasti ke liye ye sar-o-saman kyun hai dasht-paimai mein bhi wahshat-e-jaan itni na thi tishnagi sahil-e-dariya pe hirasan kyun hai