dil tamam aaine tera kaun raushan kaun

dil tamam aaine tera kaun raushan kaun
ab ye aankh hi jaane doston mein dushman kaun

ya jigar mein khun kam tha ya abhi junun kam tha
dasht ke ewaz karta warna qasd-e-gulshan kaun

ek nashat-arai ek sukun-e-tanhai
hijr ya visal achchha hal kare ye uljhan kaun

silsile mohabbat ke nam se nahin chalte
apni zat jo taj de shaikh kya barahman kaun

ek nai lagan bakhshe ek faqat thakan bakhshe
mardum-azma nikla rahnuma ki rahzan kaun

ishq be-khabar guzre khair-o-shar ke uqdon se
aarzu ki sita ko ram kaun rawan kaun

khama-e-sukhanwar ya jazb-e-andrun 'gauhar'
fan ke sar pe rakhta hai taj-e-azmat-e-fan kaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close