dil ye KHamosh tha hum zaban mil gae

dil ye khamosh tha hum zaban mil gae
sab kahan se chale the kahan mil gae

jo itaat-paziri hui zabta
phul sahra ke bhi darmiyan mil gae

naqs ghairon ke jin ki mazammat thi ki
wo to mere hi andar nihan mil gae

sar jhukaya hi tha inkisari mein jo
mujh ko qadmon ke tere nishan mil gae

ek bashar na mila jo chale sath mein
phir jo milne lage karwan mil gae

pyas aisi ki pyasi ki pyasi rahi
is zamin ko bahut aasman mil gae

sab ayan ho gaya jo kaha bhi na tha
mujh ko aise bhi kuchh raaz-dan mil gae

ru-ba-ru jab wo bichhde to ghamgin the
khwab mein jo mile shadman mil gae

aatish-e-hijr mein dil sulagta raha
rukh pe kitne hi dariya rawan mil gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close