dilbar-e-be-bak sun khub nahin bolna shokh sitam-nak sun khub nahin bolna dast mein khanjar pakad nikla hai wo ghussa-war hath ke chaalak sun khub nahin bolna abtar-e-khun-rez hai qatl upar tez hai zalim-o-saffak sun khub nahin bolna us ki jafa sin tamam jag mein padi dhum-dham hum jam-o-zahhak sun khub nahin bolna mujh se raqib-o-lain jiw mein rakhta hai kin us sag-e-napak sun khub nahin bolna bul-hawas-e-zisht-ru karta hai nit guftugu mard be-idrak sun khub nahin bolna misra-e-matla sada wird kare 'mubtala' dilbar-e-be-bak sun khub nahin bolna