dilon ke dard jaga khwahishon ke khwab saja bala-kashan-e-nazar ke liye sarab saja mahak raha hai kisi ka badan sar-e-mahtab mere khayal ki tahni pe kya gulab saja koi kahin to sune tere arz-e-haal ka habs hawa ki rehl pe aawaz ki kitab saja wo kya talab thi tere jism ke ujale ki main bujh gaya to mera khana-e-kharab saja tamam shab tha tera hijr tera aaina-gar tamam shab mere pahlu mein aaftab saja na tu hai aur na main hun na wasl hai na firaq saja sharab saja ja-ba-ja sharab saja 'ata' ye aankh dhanak manzilon ki chah mein thi chhata jo abr ghani tirgi ka bab saja