dilon par ye naqsh usne apna biThaya

dilon par ye naqsh us ne apna bithaya
ki jo chot par said aaya bithaya

misal-e-kabutar mere dil ko us ne
bhagaya bulaya uthaya bithaya

tere aatishin husn ne shama ko shab
khapaya jalaya galaya bithaya

uthaya usi gham ne duniya se pyare
kabhi tum ne hum ko na tanha bithaya

samajh teri ulti hai ai jaan-e-alam
ki apna uthaya paraya bithaya

na bole lahad mein bhi hum dar se tere
farishton ne kitna jagaya bithaya

gaya kothe par wo ye ki mah ne azmat
ki ujla bichhauna bichhaya bithaya

ye wo qais hai khas shagird mera
pakad kan jis ko uthaya bithaya

'waqar' is ghazal ki zamin had buri thi
bahut zor de kar bithaya bithaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close