dimagh arsh pe hai KHud zamin pe chalte hain

dimagh arsh pe hai khud zamin pe chalte hain
safar guman ka hai aur yaqin pe chalte hain

hamare qafila-salaron ke irade kya
chale to han pe hain lekin nahin pe chalte hain

na jaane kaun sa nashsha hai un pe chhaya hua
qadam kahin pe hain padte kahin pe chalte hain

bana ke un ko agar chhod do to gir jaen
makan nae ki purane makin pe chalte hain

jahan tumhaara hai tum ko kisi ka dar kya hai
tamam tir jahan ke hamin pe chalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close