din guzarte hain jo andesha-o-afkar ke sath

din guzarte hain jo andesha-o-afkar ke sath
dil dhadakta hai magar ranj-e-giran-bar ke sath

sainkadon barson pe phaili hain hikayat magar
waqiye ek se wabasta hain talwar ke sath

yun to sangini-o-baala-qadi achchhi hai magar
ek sae ka tasawwur bhi hai diwar ke sath

ab khala apni hi jaanib ye safar hai ki yahan
fasle aur badhe garmi-e-raftar ke sath

kisi tanha se ajab garmi-e-bazar rahi
ek amboh-e-tamanna tha kharidar ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close