din guzra aur sham Dhali phir wahshat le kar aai raat

din guzra aur sham dhali phir wahshat le kar aai raat
jab bhi us ka hijr manaya hum ne wo kahlai raat

us ko rone se pahle kuchh hum ne yun tayyari ki
kone mein tanhai rakkhi kamre mein phailai raat

tu ne kaise soch liya ki tere tohfe bhul gae
dil ne tere gham ko pahna aankhon ko pahnai raat

sawan aaya lekin sukhi ehsashon ki hariyali
banjar dil mein aansu boe upar se barsai raat

koi bhi mausam aaya ho hum par to barsat hui
us ki yaadon ne jo ghera dopahron par chhai raat

us pal jaise bol pada ho diwaron ka sannata
us ki rahen takte takte jaise ho uktai raat

kitne hi manzar shamil hain meri suni aankhon mein
chup ke se aa ke karti hai palkon ki turpai raat

chahat ki ye reshmi girhen aur palkon par nind ka bojh
yaadon se jo bach nikle to khwabon ne uljhai raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close