din nikalta hai to saman-e-safar DhunDte hain

din nikalta hai to saman-e-safar dhundte hain
raat padti hai to hum apni khabar dhundte hain

rabta kuchh to rahe ruh ka patal ke sath
aaj hum bhi teri aankhon mein bhanwar dhundte hain

koi khushbu na yahan anjum-o-mahtab ki zau
in gharon se bahut aage hai jo ghar dhundte hain

ishq se dad-talab hain ki hum aawara-manash
dar mein diwar na diwar mein dar dhundte hain

kyun judai ke mah-o-sal mein badle tu ne
aa mohabbat ke wahi sham-o-sahar dhundte hain

wo jo ab sarhad-e-imkan se pare rahta hai
kab wo 'jafar' hamein milta hai magar dhundte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close