din-raat uske hijr ka dimak lage lage

din-raat us ke hijr ka dimak lage lage
dil ke tamam khane mujhe khokhle lage

mahfil mein nam us ka pukara gaya tha aur
sab log the ki meri taraf dekhne lage

afsos fikr-e-jaan hi nahin rahti hai hamein
afsos aap jaan hamein manne lage

jo kahte the koi tujhe thukra na paega
jab baat khud pe aai to wo sochne lage

main aaj tak na thik se khud ko samajh saka
ek hi dafa mein aap mujhe jaanne lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close