diwar-o-dar mein gham ka tamasha to hai abhi

diwar-o-dar mein gham ka tamasha to hai abhi
wo khud nahin pa us ka bulawa to hai abhi

manus ho chali hai udasi se zindagi
panw ke aablon ka nazara to hai abhi

sach hai ki zahr-e-ishq talattuf gurez tha
chingariyon ne warna pukara to hai abhi

khwabon ko dar-ba-dar hi rakha tha nasib ne
aashuftagi mein jaan ka khasara to hai abhi

malum hai ki kuchh bhi nahin dasht-e-zist mein
ummid-e-khwab hi pe guzara to hai abhi

rukhsat shab-e-firaq bahut sah liya tujhe
hamraaz garche khwab sitara to hai abhi

be-tabiyan samet ke puchha kare hai dil
qismat mein apni subh ka tara to hai abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close