diya jab dil to dilbar ka gila kya sitam-parwar karam na-ashna kya na puchhen puchhne wale hua kya ye dekhen us ne dil le kar kiya kya duhai hai shab-e-hijran duhai qayamat ki sahar ka aasra kya kahan tak sath de zauq-e-nazara tere jalwon ka mera samna kya rahi mashq-e-sitam dil par yun hi gar tumhaara hi mitega ghar mera kya yahi do-chaar tinke aashiyan ke mila sayyaad ko is ke siwa kya bata do waqiat-e-tur kuchh to kalim-ullah guzra majra kya qafas jaane se pahle tha chaman mein nasheman baghban mera hua kya unhen dil de diya nadida 'afqar' hijab-o-ghamza-o-naz-o-ada kya