do chaar gam rah ko hamwar dekhna

do chaar gam rah ko hamwar dekhna
phir har qadam pe ek nai diwar dekhna

aankhon ki raushni se hai har sang aaina
har aaine mein khud ko gunahgar dekhna

har aadmi mein hote hain das bis aadmi
jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna

maidan ki haar jit to qismat ki baat hai
tuti hai kis ke hath mein talwar dekhna

dariya ke is kinare sitare bhi phul bhi
dariya chadha hua ho to us par dekhna

achchhi nahin hai shahr ke raston se dosti
aangan mein phail jae na bazar dekhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close