dost ban kar doston ki bewafai dekhiye

dost ban kar doston ki bewafai dekhiye
kaj-adai dekhiye be-e'tinai dekhiye

rahguzar-e-shauq mein hum rakh to baithe hain qadam
jaane kab manzil pe ho apni rasai dekhiye

kis bala ka sehr tha un ki nigah-e-naz mein
dil ne khud badh kar nazar ki chot khai dekhiye

mere sajdon ke muqaddar mein wo sang-e-dar na tha
meri peshani pe dagh-e-na-rasai dekhiye

ishq mein nam-o-nasab ka kis ko rahta hai khayal
hai nasib-e-ishq mein to jag-hansai dekhiye

zindagi mein hum ne dekhin uljhanen hi uljhanen
uljhanon se kis tarah hogi rihai dekhiye

zindagi ka ek pal bhi chain se guzra nahin
jab se ki taslim dil ki rahnumai dekhiye

aap ne naraaz ho kar jab se aankhen pher lin
meri dushman ban gai sari khudai dekhiye

jal rahi hun kab se ai shahnaz apni aag mein
ab sarir-e-khama ki shoala-nawai dekhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close