dosti ko aam karna chahta hai

dosti ko aam karna chahta hai
khud ko wo nilam karna chahta hai

bech aaya hai ghata ke hath suraj
dopahar ko sham karna chahta hai

naukri pe bas nahin jaan pe to hoga
ab wo koi kaam karna chahta hai

umr-bhar khud se raha naraaz lekin
dusron ko ram karna chahta hai

bechta hai sach bhare bazar mein wo
zahar pi kar nam karna chahta hai

maqta-e-be-rang kah kar aaj 'aslam'
hujjat-e-itmam karna chahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close