dosto tumne ajab ye ehtimam-e-gham kiya

dosto tum ne ajab ye ehtimam-e-gham kiya
qatl suraj kar diya phir raat bhar matam kiya

yaad rakhegi ye duniya us ko sadiyon dosto
jaan-e-bar-haq jis ne de di sar na lekin kham kiya

kaamyabi kis tarah hoti hamein hasil bhala
sochte aksar rahe hum kaam lekin kam kiya

karzar-e-zindagi mein khud ko hum ne dosto
barha shoala kiya to barha shabnam kiya

ek muddat se hamare darmiyan thi dosti
us ne kaise dushmani ka faisla ek dam kiya

wahshaten palne lagin 'masud' sare shahar mein
jab se milna aadmi ne aadmi se kam kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close