dua ka TuTa hua harf sard aah mein hai

dua ka tuta hua harf sard aah mein hai
teri judai ka manzar abhi nigah mein hai

tere badalne ke ba-wasf tujh ko chaha hai
ye e'tiraf bhi shamil mere gunah mein hai

azab dega to phir mujh ko khwab bhi dega
main mutmain hun mera dil teri panah mein hai

bikhar chuka hai magar muskura ke milta hai
wo rakh rakhao abhi mere kaj-kulah mein hai

jise bahaar ke mehman khali chhod gae
wo ek makan abhi tak makin ki chah mein hai

yahi wo din the jab ek dusre ko paya tha
hamari sal-girah thik ab ke mah mein hai

main bach bhi jaun to tanhai mar dalegi
mere qabile ka har fard qatl-gah mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close